Kyun sil gaye hain sanam aapke adhar

Kyun Sil Gaye Hain Sanam Aapke Adhar
Bataiye To Jara Ye Kaun Se Majburi Hai
Gum Ho Jaayen Na Kaheen Tabassum Se Bayaan
Labh Ka Band Rehna Bhee To Issliye Jaruri Hai,
Zindgi Na Jaa Youn Chodh Ker Daaman
Khwahishen Kuch Meri Adhuri Hain
Gum Ho Jaayen Na Kaheen Tabassum Se Bayaan
Labh Ka Band Rehna Bhee To Issliye Jaruri Hai,
Paas Rehker Bhee Kyun Kuch Faansle Hain Sadiyon Se
Aadami Aadami Me Kiss Kadar Ye Doori Hai
Gum Ho Jaayen Na Kaheen Tabassum Se Bayaan
Labh Ka Band Rehna Bhee To Issliye Jaruri Hai,
Abhee Na Jaa Chaand Hume Tanha Chodh Ker
-ŗkaran- Kehta Hai Abhee To Ye Raat Poori Hai
Gum Ho Jaayen Na Kaheen Tabassum Se Bayaan
Labh Ka Band Rehna Bhee To Issliye Jaroori Hai,