Wo sapne jo humne saath the dekhe

Wo Sapne Jo Humne Saath The Dekhe
Woh Lamhe Jo Humne Jiye The Kabhi
Kuch Bhuli Bisri Yaadein Kuch Tute Huay Vaade
Tere Mere Pyar Ki Wo Khamosh Mulakate

Wo Chup Rehkar Bhi Sau Baatein Kar Jana
Bina Kuch Kahe Hi Tera Sabkuch Sun Jana
Tere Bina Chuay Hi Wo Mera Sharmana
Meri Dhadkanon Ka Wo Tera Naam Gana
Meri Saanson Mein Wo Mahek Teri Saanson Ki
Dur Rehkar Bhi Tera Mujhe Gale Lagana
Wo Kal Jo Hamara Hua Karta Tha Kabhi
Aaj Mujhe Yaad Aaya Wo Guzara Zamana