Bargashtaa e yazdaan se kuchh bhul hui hai bhatake

Bargashtaa-E-Yazdaan Se Kuchh Bhul Hui Hai
Bhatake Hue Insaan Se Kuchh Bhul Hui Hai
Taa Hadd-E-Nazar Shole Hi Shole Hain Chaman Mein
Phulon Ke Nigehbaan Se Kuchh Bhul Hui Hai
Jis Ahad Mein Lut Jaaye Faqiron Ki Kamaai
Us Ahad Ke Sultaan Se Kuchh Bhul Hui Hai
Hansate Hain Meri Surat-E-Maftun Pe Shagufe
Mere Dil-E-Naadaan Se Kuchh Bhul Hui Hai
Huron Ki Talab Aur Mai-O-Saagar Se Hai Nafrat
Zaahid Tere Irfaan Se Kuchh Bhul Hui Hai