Bedard zamane main mohabbat naa karna kar

Bedard Zamane Main Mohabbat Naa Karna
Kar Betho To Pane Kee Chahat Naa Karna
Naa Sunega Koi Faryaad Iss Jahan Main
Iss Liye Kabhi Mohabbat Naa Karna
Mohabbat Gar Khushi Ka Mousam Hain
To Gham Ka Mousam Bhii Saath Saath Hain
Ak Hii Mousam Rahega Zindagi Main
Iss Liye Kabhi Mohabbat Na Karna
Mohabbat Ak Raaz Hai Naa Samjhega Koi
Mohabbat Dil Ki Awaz Hai Naa Sunega Koi
Tarapte Rah Jaoge Tanha Tum Bhii
Iss Liye Kabhi Mohabbat Na Karna
Mohabbat Haar Bhi Hai Aur Jeet Bhii
Mohabbat Sur Bhi Hai Aur Geet Bhii
Ak Hi Geet Rah Jayega Honto Per
Iss Liye Kabhi Mohabbat Naa Karna
Pitchar Hain Mohabbat To Bahar Bhii
Millna Hain Mohabbat To Intezar Bhii
Karte Rahoge Intezar Yoon Hi Sidda
Iss Liye Kabhi Mohabbat Naa Karna
Mohabbat Ehsaas Hai To Pyaas Bhii
Mohabbat Aamm Hai To Khaas Bhii
Yoon Hi Rah Jaoge Pyaase Sidda
Iss Liye Kabhi Mohabbat Na Karna
Mohabbat Chain Hai Sukoon Hain
Mohabbat Niram Hai Junoon Hain
Yoon Hi Junooni Ban Kar Phiroge
Iss Liye Kabhi Mohabbat Na Karna
Mohabbat Kabhi Sirf Mohabbat Hain
To Kabhi Mohabbat Bhi Nafrat Hain
Karte Rahoge Khud Se Shiqwa
Iss Liye Kabhi Mohabbat Naa Karna
Mohabbat Dil Ko Omeedain Deti Hain
Mohabbat Mushkilain Bhii Deti Hain
Girftaar Rahoge Uljhano Main
Iss Liye Kabhi Mohabbat Naa Karna
Mohabbat Khuda Hai Khudai Hain
Mohabbat Milan Hai Judaai Hain
Dete Rahoge Dohaai Himesha
Iss Liye Kabhi Mohabbat Naa Karna