Ghazlon mein tere ishq ka churcha na

Ghazlon Mein Tere Ishq Ka Churcha Na Karein Gey,
Hum Tujh Ko Yun Sar-E-Aam Ruswa Na Karein Gey,
Kyun Hum Peh Uthaeen Sang-E-Malamat Ki Fasilein,
Behtar Hai Tere Shehar Mein Hum Aaya Na Karein Gey,
Yeh Chaand Ye Taare Ye Haseen Raat Ka Aalam,
Munsoob Tere Naam Se Kya Kya Na Karein Gey,
Wiraan Hoey Qasr-E-Tamana Ke Dareechy,
Aabaad Kabhi Pyar Ki Ab Duniya Na Karein Gey,
Har Cheez Ki Bohtaat Mein Nuqsaan Bohat Hai,
Shiddat Se Kisi Shakhs Ko Chaha Na Karein Gey.