Kya hua kyun tune yun mera saath

Kya Hua Kyun Tune Yun Mera Saath Chhod Diya
Itne Saalon Kaa Saath Ekk Pal Mein Tod Diya
Bade Armaamon Say Diya Tha Ye Dil Tujhko
Kitni Be-Rehmee Say Is Dil Ko Tune Tod Diya
Kitne Khwaab Dikhaye The Tune In Ankhoon Ko
Kyun Sare Khwaabon Ko Chakna Choor Kar Diya
Umar Bharka Saath Nibhaneki Kasam Khayi Tune
Badi Asani Se Saare Kasmo Ko Tune Bhula Diya
Ankhoon me Aankhein Dalke Jo Waade Kiye The Tumne
Aaj Nazre Jhukaake Un Waado Ko Tune Tod Diya
Chal Padi Thii Apni Manzil Kii Or Bay-Sudh Hoke
Tune Kyun Yak-Ba-Yak Meraa Rastaa Mod Diya
Socha Tha Ekk Din Tujhse Sada Ko Judh Jaungi
Magar Tune Sada Ko Nata Mera Ghamse Jod Diya
Karlu Yakeen Magar Kaise Samjhaun Khudko Mein
Ke Haan Tune Mujhe Chhod Diya Is Dil Ko Tod Diya.