Main ab tujhko bhulana chahta hun yaadon

Main Ab Tujhko Bhulana Chahta Hun,
Yaadon Ko Teri Dafnaana Chahta Hun
Raaton Ko Kuchh Chain Se Main So Saku,
Khwabo Ko Tere Jalaana Chahta Hun
Mehfilo Ne Teri Mujhe Gira Diya
Tanhaayio Ka Fir Vo Zamaana Chahta Hun
Dil Ke Koi Kone Mai Ab Tu Naa Rahe
Dhadkano Ko Yahi Samjhana Chahta Hun
Safar Bin Tere Har Suhana Rahe
Khud Ko Rehnuma Banana Chahta Hun
Teri Bewafaayi Ka Koi Gham Nahi,
Apni Vafaao Kaa Yakin Dilaana Chahta Hu
Zajbaato Ke Saahil Par Ghar Jo Banaaye
Ashqo Ke Dariya Mai Bahaana Chahta Hu.
Palko Tale Bhi Khwaab Tut Jaate Hain,
Mai Apni Palke Jhukaana Chahta Hun.
Dur Tak Kaanto Ka Registaan Hain
Mai Is Mai Kuchh Phool Khilana Chahta Hun
Apne Jigar Kaa Khoon Maine Kar Diya,
Teri Hasti Ko Mitaana Chahta Hun.