Mere mohsinon doston mujhe zindagi ki dua

Mere Mohsinon Mere Doston Mujhe Zindagi Ki Dua Na Do
Main To Pyar Ke Kaabil Nahin Mujhey Dil Mein Itni Jagah Na Do
Mujhe Shauq-E-Zeest Na Rahaa Mujhe Zindagi Ne Diya Hai Kya
Main Marun Yeh Mujh Ko Haque To Hai, Main Jiyun Yeh Mujh Ko Sazaa Na Do
Woh Baney Thay Mere Jo Humsafar Wohi Chal Diye Mujhe Chod Ke
Main Jahan Se Aaya Hoon Ghamzada, Mujhe Phir Waheen Se Sadaa Na Do
Is Zindagi Ki Shaam Ka, Mujhe Dar Tha Is Anjaam Ka
Mujhe Aik Ansoo Ki Tarah Kaheen Aankh Se Tum Giraa Na Do
Saajan Is Dayaar Mein Ik Saya-E- Diwaar Main
Main Jo So Gayaa Hoon Chain Se Mujhe Neend Se Phir Jaga Na Do