Shajar saayadaar banna chahta hun mazloomon ki

Shajar Saayadaar Banna Chahta Hun,
Mazloomon Ki Talwaar Banna Chahta Hun.
Inkasaari Ki Had Mujhe Maalum Nahin,
Main To Khaaksaar Banna Chahta Hun.
Farishta Banne Ki Kyon Chaahat Ho Mujhe,
Insaaniyat Ka Pairokaar Banna Chahta Hun.
Khuda Ka Hai Darbaar Jo Chaahe Le Lo,
Aamil-E-Rah-E-Sarkar(Sal.) Banna Chahta Hun.
Wafa,Khuloos-O-Mohabbat Kitabon Ke Hain Lafz,
Kyon Zamaane Ka Shaahkaar Banna Chahta Hoon.
Ek Rishta Jo Har Rishte Pe Hai Afzal,
Waldein Ka Khidmatguzaar Banna Chahta Hun.
Nazar Aaye Yateem Ya Koi Miskeen-O-Zaeef,
Har Ik Ka Ghumgusaar Banna Chahta Hoon.
Phaile Kisi Ke Aage Kabhi Haath Na ‘Adil’
Aajiz-E-Parwardigaar Banna Chahta Hun.