Wafa kaa daman thaame rahe inteha kii

Wafa Kaa Daman Thaame Rahe Inteha Kii Hadh Tak Tujhe Pyaar Kiya
Mohabbat Mein Ruswa Karke Mujhe Tune Nazuk Yeh Dil Tod Diya
Thi Kounsi Kami Pyaar Main Mere Ke Tune Iss Qadar Mujh Se Dhoka Kiya
Pyaar Kii Aas Jagha Ke Dil Main Majhdhar Main Muje Chhod Diya
Zindaagi Tere Naam Ki Maine Tune Maut Se Bura Tohfa Diya
Khushiyon Ki Jhalak Dekha Ke Muje Aansuon Se Naata Jod Diya
Armaan Chahat Ke Barbaad Huye Sache Pyaar Kaa Kaisa Sila Diya
Dil Ke Tukde Hazaar Kiye Bekasi Main Tadapta Chhod Diya