Zamaane bhar ki muraadon ko dil mein

Zamaane Bhar Ki Muraadon Ko Dil Mein Rehne Do
Saare Sarkaar Ke Vaadon Ko Dil Mein Rehne Do
Nahiin Yeh Waqt Ke Hum Khwaab Sunehra Dekhein
Yeh Dhuaan Aur Dhamakon Ko Dil Mein Rehne Do
Sajaaya Phuul Se Aur Keh Diya Shaheed Magar
Inn Arthiyon Ko Janazon Ko Dil Mein Rehne Do
Kuch Na Karr Paaye Apni Zindagi Mein Tum Lekin
Kar Guzarne Ke Iraadon Ko Dil Mein Rehne Do
Jo Karna Maat Dushmanon Chaahte Ho Tau
Suur-E-Shank Aur Azaanon Ko Dil Mein Rehne Do
Unke Dil Mein Hai Bad-Hawaasi Aur Khudgarzi
Tum Tau Har Waqt Hazaaron Ko Dil Mein Rehne Do
Hum Harr Lihaaz Se Afzal Hai Unse Behtar Hai
Magar Hayaa Ko Ujaazon Ko Dil Mein Rehne Do