Aa tere ashkon ko apni aankhon mai

Aa Tere Ashkon Ko Apni Aankhon Mai Utardun
Teri Zindagi Ko Apni Khushiyon Se Sawanrdun,
Na Rahe Koi Gila Tujhe Mujh Se Kabhie,
Teri Chahat Ka Tujhe Aisa Uphardun,
Mile Tere Hisse Ki Bhi Beqaraari Mujhe,
Khokar Mai Apna Sukoon Tujhko Karardun,
Teri Har Soch Ka Aghaaz-O-Anjaam Rahun Mai,
Bhulade Tu Zamaana,Tujhe Mai Itna Pyaardun