Aankhon mein jo sapney hain inhein sajaaun

Aankhon Mein Jo Sapney Hain Inhein Sajaaun Ga Main
Ik Din Tujh Ko Apna Banaaun Ga Main
Dil Ki Dharkan Se Aawaaz De Kar
Tere Dil Mein Utar Jaaun Ga Main
Harr Mausam Bahaar Ban Jaaye
Geet Aisa Gun-Gunaaun Ga Main
Tere Ghamon Ko Bhulaane Ke Liye
Apni Khushiyaan Baich Aaun Ga Main
Teri Inn Numm Aankhon Ki Qasam
Inn Mein Kabhi Aansoo Na Laaun Ga Main
Bas Yehi Kehta Hai Ab Aryaan
Tujhko Bhool Ke Jee Na Paaun Ga Main