Gungunatay huay aanchal ki hawa de mujh

Gungunatay Huay Aanchal Ki Hawa De Mujh Ko,
Ungliyaan Pher Ke Ballon Mey Sula De Mujh Ko
Jis Terha Faltu Guldan Pare Rehtay Hain,
Apnay Gher Ke Kisi Konay Se Laga De Mujh Ko
Yaad Ker Ke Mujhe Takleef Hee Hoti Hogi,
Aik Qissa Hoon Purana Sa Bhula De Mujh Ko.
Dobtay Dobtay Aawaaz Teri Sun Jaon,
Aakhri Baar Tu Sahil Se Sada De Mujh Ko.
Mein Tere Hijar Mey Chup Chaap Na Mer Jaon Kahin,
Mein Hoon Saktay Mey Kabhi Aakay Rula De Mujh Ko