Mere dil main hai ek nagamaa kahataa

Mere Dil Main Hai Ek Nagamaa
Kahataa Hai Wo Mujhse Yun
Teri Baatain, Teri Ulfat
Main Her Dam Bass Tujhe Sochun
Teri Zulfon Ko Suljhaaun
Teri Ankhon Main Sach Padh Lun
Kabhi Haathon Ko Sahalaaun
Kabhi Kanon Main Kuch Bolun
Tere Kuch Dard Baatun Main
Tere Seene Pe Sar Rakh Dun
Teri Dhadakan Ko Gaaun Main
Main Teri Pyaas Ko Chakh Lun
Teri Angadaayiaan Thaamun
Thakaanon Ko Teri Her Lun
Teraa Vishwaas Ban Jaaun
Tere Antar Main Ghar Kar Lun
Chalain Ham Saath Main Aage
Liye Baahon Ko Baahon Main
Sitaare Ham Se Jal Jaayen
Main Khush Ho Kar Ke Itraaun
Tapish Ke Aasmaanon Se
Ye Gardish Ki Dayaaron Se
Zamaanaa Dekh Ta Rah Jaaye
Main Tujh Ko Chheen Le Jaaun
Nahi Aaye Kabhi Tere
Khayaalon Main Koi Silwat
Nahi Aaye Kabhi Phir Se
Teri Aankhon Main Ek Aansun
Tu Kyaa Jaane Mujhe Teraa
Hai Kitnaa Aasaraa Jaanam
Teraa Hi Aks Dikhataa Hai
Meri Nazaron Ko Bas Har Sun
Teri Chaahat Hai Itni Ki
Meri Har Saans Main Tu Hai
Main Tere Pyaar Ko Pahnun
Main Teri Aas Ko Odhun