Na jaane kya ada us ki nazron

Na Jaane Kya Ada Us Ki Nazron Mein Hain,
Aankhon Se Baat Karna Usse Aata Kyu Hain,
Na Jaane Kya Baat Uski Baaton Mein Hai,
Lobon Mein Raaz Chupana Usse Aata Kyu Hain,
Na Jaane Kya Baat Uski Muskaan Mein Hai,
Hum Ko Jalake Use Hasna Aata Kyu Hain,
Na Jaane Kya Mazaa Uske Intezaar Mein Hai,
Dil Ko Uski Raah Takhna Acha Lagta Kyu Hain,
Na Jaane Kya Baat Uski Chahat Mein Hain,
Hadd Se Guzarna Mohabat Mein Aakhir Usse Aata Kyu Hain