Raah mein chalte takraar ho gayi mulaqat

Raah Mein Chalte Chalte Takraar Ho Gayi
Mulaqat Ho Gayi Unse Aankhein Chaar Ho Gayi
Nazron Se Nazar Milate Milate Muskura Wo Gayi
Sharma Wo Gayi Teer-E-Nzar Se Dill Ghaayal Kar
Wo Gayi Chandni Raat Mein Sote Sote
Neend Le Gayi Chein Le Gayi
Khwabon Ki Duniya Mein Le Gayi
Kahayalon Mein Khoye Khoye
Hulchul Kar Gayi Madhosh Kar Gayi
Apni Hassi Se Khamosh Kar Gayi
Dekha Usse Meine Chupke Chupke
Pagal Bana Gayi Majnoo Bana Gayi
Qatil Addaon Se Deewana Bana Gayi
Muskaye Woh Yunh Holle Holle
Ankhon Mein Bas Gayi Saanson Mein Bas Gayi
Chukar Man Dil Mein Bas Gayi
Mila Mein Usse Chori Chori
Dil Chura Liya Apna Bana Liya
Zindagi Bhar Ka Naata Jod Liya