Sunaa hai ishq ki duniyaa mein koi

Sunaa Hai Ishq Ki, Duniyaa Mein,
Koi Bhi Dawaa Nahi Hoti,
Pyaar Jis Dil Mein Ishq Ban Jaye,
Uss Ko Khof-E-Khudaa, Nahi Hoti,
Na Use Din Mein Chen Milta Hai,
Na Hi Shab Mein Qaraar Hota Hai,
Paaglon Jesi Hoti Halaat Hai,
Jab Na Dedaare Yaar Hotaa Hai,
Kabhi Hanstaa Hai, Wo Akele Mein,
Or Khud Hi Kabhi, Wo Rota Hai,
Ashq Ban Jaate Lahu Uss Ke,
Jab Na Didaare Yaar Hota Hai,
Itni Shiddat Se Jo Kare Chahaat,
Wo Hazaaron Mein, Do Char Hote Hai,
(Bibbo) Ne Ki Hai Chahaat Aesi (Ameer),
Jo Hazaaron Mein Shumaar Hota Hai.

By Hameeda Ameer