Un jheel si aankhon mein utar jana

Un Jheel Si Aankhon Mein Utar Jana Chahta Hoon
Jeeta Aaya Hoon Bemaqsad Aaj Mar Jana Chahta Hoon
Khaaq Mein Mil Jaunga Gar Aankhon Se Jo Gira
Ban Kar Ashq Tere Labon Par Thehar Jana Chahta Hoon
Chun Kar Kaantein Dard O Gam Ke Teri Dagar Se
Phool Ban Teri Raahon Mein Bikhar Jana Chahta Hoon
Kaash Khud Ko Mita Kar Teri Kaaynat Ko Mehka Sakun
Khushboo Ban Teri Julfon Mein Sanwar Jana Chahta Hoon
Ek Baar Tere Aagosh Mein Jee Bhar Kar Ro Loon “Kureel”
Fir Khushi Khushi Is Dunia Se Gujar Jana Chahta Hoon