Aashiq huwa hu aik butt e rashk

Aashiq huwa hu aik Butt e Rashk e Maah ka.
Allah Tu hai Bakhshnay wala Gunah ka.
.
Dono Taraf Lagi ho Maza jab hai Aah ka.
Dono taraf ho Laag Maza jab hai Chaha ka.
.
Wo Tum k Bhagtay thay Larayi ka Naam se.
Kis tarah aa gaya ye Larana Nigah ka.
.
Itna Maza to shair mei ho jis se Hum sunen.
Ya Shor Aah Aah ka, Ya Wah Wah ka.
.
Ay DaaGh daagh e Ishq ki Tareef kya Likhun.
Ye Aaftab hai Mere Roz e Seyah ka.