Kon Kehta Hy k Nafrato’n Main Dard Hy ‘Faraz’
Kuch Mohabbate’n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !!
Faraz poetry / shayari collection
Faraz poetry / shayari collection
Ab aur kya kisi se marasim burha8217ein
ab aur kya kisi se marasim burha’ein hum
yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja’ein hum
sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
sunte rahe hein aap hi apni sada’ein hum
iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool ja’ein hum
tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
aa tere raaste mein sitare […]
Kon pareshan hota hai teray gam say
kon pareshan hota hai teray gam say Faraz~!!!
woh apni hi kisi bat pay roya hoga ~
Woh roz dekhta hai doobtay hue suraj
woh roz dekhta hai doobtay hue suraj ko FARAZ!!!!!!!!!
kaash main bhi kisi shaam ka manzar hota
Bhala hathon ki lakeerain bhi mit8217ti hain
bhala hathon ki lakeerain bhi mit’ti hain Faraz
kitna pagal hai mera naam mitanay wala
8216faraz8217 zulm hy itni khud aitmadi bhi k
‘Faraz’ Zulm Hy Itni
Khud-Aitmadi Bhi
k Raa Bhi Thi Andheri
Aur Chiraag Bhi Na Lia
Kiyon tabiaat kahin theharti nahi dosti tau
Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi
Dosti Tau Udaas Karti Nahi
Hum Hamesha Ke Ser Chashm Sahi
Tujh Ko Dekhain Tau Aankh Bharti Nahi
Shab-e-Hijraan Bhi Roz-e-Bad Ki Tarah
Kutt Tau Jaati Hai Par Guzarti Nahi
Sher Bhi Aayton Se Kiya Kum Hein
Hum Pe Mana Wahi Utarti Nahi
Yeh Mohabbat Hai, Sun Zamany Sun
Itni Aasanion Se Marti Nahi
Jiss Tarah Tum Guzaarty Ho Faraz
Zindagi […]
Jiska tum puchte ho wo mar gaya
Jiska tum puchte ho wo mar gaya “FARAZ”,
Usko kisi ki yaad ne zinda jala diya……….
8216taash k pat0n ki manind hai zindagi
‘Taash K pat0n ki Manind
hai Zindagi meri..
~.Faraz.~
‘Jis kisi ne bhi Khela
Taqseem mar diya Mujhe…!!!
Tum bhi khafaa ho log beraham hain
Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
Ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto
kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karein
aankhein to dushmanoun ki bhi pur_nam hain dosto
apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto
kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto
is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto
sab kuchh sahi ‘Faraz’ par itanaa zaruur hai
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto
Shayad tu kabhi pyasa meri taraf laut
Shayad Tu Kabhi Pyasa Meri Taraf Laut Aaye ‘Faraz’
Aankho’n Main Liye Phirta Hoon Darya Teri Khatir
Tera na ho saka to mar jaunga
Tera na ho saka to mar jaunga “Faraz”,
kitna khoobsurat wo jhuth bolta tha.
Shaam e wada sahi dukh zyada hi phir bhi
Shaam-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho ‘Faraz’
Aaj Shab !! Us Ki Furqat Main Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna … !!!
Merey lafzon ki pehchan agar wo ker
merey lafzon ki pehchan agar wo ker leta faraz
usey mujh se nahi,khud se hi muhabbat ho jati!
Phir itne may0os kyun h0 us ki
Phir itne may0os kyun h0 us
ki bewaFayi par Faraz,
Tum khud hi t0h kehte thay k
w0h sab se Juda hai…!!!
Bin maange he mil jaati hain tabeerain
Bin Maange He Mil Jaati Hain Tabeerain Kisi Ko Faraz .
Koi Khaali Hath Reh Jaata Hai HAazaroon Duaaon K Baad .