Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lagay
Koi Achha Bhi Is Qadar Na Lagay
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Se
Jis Nazar Se Aap Ko Nazar Na Lagay
Shayari E Husn
Shayari E Husn
Tumhe apne dil mein basaye rakhta hoon
Tumhe Apne Dil Mein Basaye Rakhta Hoon
Aur Duniya Ko Bhulaye Rakhta Hoon
Tumhe Meri Nazar Na Lag Jaye
Isliye Apni Nazrein Jhukaye Rakhta Hoon
Karne lage tawaf jahan poojne daste hunar wahi
Karne Lage Tawaf Jahan Poojne Lage
Daste-Hunar Wahi Hai Sanam Bolne Lage
Insaniat Ko Tum Bhi Kahan Khojne Lage
Moti Har Ek Seep Mein Kyon Dhoodhne Lage
Mausam Badal Gaya Hai Tumhen Kuch Khabar Bhi Hai
Aayee Bahar Aao Chaman Jhoomne Lage
Jitni Shadeed Dhoop Thi Rahe Hayat Mein
Utne Hi Unkee Zulf Ke Saye Ghane Lage
Jheeni Si Ek Naqab Hai Chehre Isliye
Aisa Na Ho Ki Chand Ka Dil Doobne Lage
Khushboo Bata Rahi Hai Ke Mausam Badal Gaya
Ayee Bahar Aao Chaman Jhoomne Lage
Dilbar Mere Libas Par Sadiyon Ki Dhool Hai
Do Kadamm Chal Ke Log Yahan Oobne Lage
Sipiya khul gayi tumhe chhukar dhup shital
Sipiya Khul Gayi Tumhe Chhukar,
Dhup Shital Ho Gayi Tumhe Chhukar,
Tum Jo Aayi Raat Mein Bahar,
Chandni Jal Gayi Tumhe Chhukar.
By Dashrath Patidar
Kabhi tere hoto ko kamal likhata hoo
Kabhi Tere Hoto Ko Kamal Likhata Hoo.
Kabhi Teri Ankho Ko Jheel Likhata Hoo.
Teri Aarazoo Hai Mujhe Itani Ki,
Teri Har Baat Par Gajal Likhata Hoo….
By Krishna
Jo dekhe chehra unka mere aankhon mein
Jo Dekhe Chehra Unka Jo Mere Aankhon Mein Hai
Wo Sab Haseen Chehron Ko Bhoola De
Agar Wo Thoonk Dein Samader Mein
Namkeen Paani Ko Bhi Meetha Banaa De
Aisa Hai Unka Husn Main Kya Bataaon Tumhe
Unki Awaaz Se Kabar Pe Sone Walon Ko Bhi Jagaa De
Taareefein To Bahot Niklengi Unki Shaan Mein
Unka Geet Sunakar Kisi Rote Ko Bhi Hasaa De
Aisi Hai Meri Mehbooba Jise Sab Hoor Kehte Hain
Jab Hum Katal Honge Unke Haathon Se
Duniya Kahegi Ke Uske Saath Hume Bhi Mitaa De
Aisi Hai Meri Mehbooba Jiski Tareef Farishte Bhi Karte Hain
Jiska Chehra Dekhte Hi Sab Apne Gham Bhoola De
Jab gori kalayi mein tumhari chooriyan hai
Jab Gori Kalayi Mein Tumhari Chooriyan Hai Khankati
To Lagta Hai Jaise Koi Koyal Hai Chahakti
Tumhara Roop Rang Kuch Is Tarah Samaya Hai Dil Mein
Meri Har Saanson Mein Tumhari Khusboo Hai Mahkati
Ye Chanchal Chitwan,Chaand Sa Chehra Aur Ye Patli Kamar
Bhigo Dene Ko Tumhen Barish Hai Barashti
Ye Uljhi Julfen Aur Un Par Tumhari Unguliyoun Ka Ferna
Dekh Tumhen Gulshan Ki Har Kali Hai Chatakti
Unki aahtoon se sare jawan dil dhadakh
Unki Aahtoon Se Sare Jawan Dil Dhadakh Jate,
Unki Khushabu Se Saare Chaman Mehakh Jate,
Jab Aate Bagoon Mein Phool Ko Sokh Kar Jate,
Dekh Ke Unki Jawani Sare Bhaware Behakh Jate,
Jab Hawa Mein Lehra Unki Julfe,Chehara Chhuti,
Uff Allah Sard Diloon Mein Bhi Shoole Dehakh Jate,
Bina Kuch Kiye Jab Woh Nazron Se Ghayal Kar Jate,
Bade-Bade Gyani Ko Bhi Kar Wo Bada Murkh Jate,
Jab Chalate Rasto Mein, Ashiquo K Beed Lag Jate,
Dekh Unhe Bin Piye Logon K Kadam Behakh Jate,
Aashioon Ki Inn Galiyon Mein Khade ” Omi “,
Dekh-Dekh Unhe, Yuh Hi Apni Har Gazal Likh Jate..
Yun to bujh chuka hai tumhare husn
Yun To Bujh Chuka Hai Tumhare Husn Ka Hukka,
Yun To Bujh Chuka Hai Tumhare Husn Ka Hukka,
.
.
.
.
Wo To Hum Hain Jo Gurguraye Ja Rahe Hain.
By Pramod
Rimjhim barsati barsaat mein milane jab bhi
Rimjhim Barsati Barsaat Mein
Milane Jab Bhi Tum Aati Ho
Paani Ki Yeh Bondein Tum Per
Kyu Itna Sitam Mujh Per Dhati Ho
Jhulti Hai Tumhare Balo Per
Palko Per Attak Kahi Jaati Hai
Galo Ko Tumhare Chute Hue
Gale Se Lipat Si Aati Hai
Najar Humari Behakti Hai
Dil Ki Dhadkan Bad Jaati Hai
Bahot Jalta Hai Yeh Man
Bond Jab Tumahre Seene Mai Chup Jaati Hai
Tadap Kar‚Â Jalta Hai Yeh Dil
Boond Ban Jaane Ko Man Karta Hai
Barish Ki Boond Ki Tarah
Tere Seene Se Lipat Jaane Ko Dil Karta Hai
Dil pe sabat naqsh e nihaan tere jamaal ke
Dil Pe Sabat Naqsh-E-Nihaan Tere Jamaal Ke
Tu Hi Bataa Rakh Loon Kahaan Mein Dil Nikaal Ke
Hai Husn Vo Kaajal Salasal Rarhkataa Rahe
Mumkin Nahin Hai Bhoolnaa Aankhon Mein Daal Ke
Unkii Bhi Tahsiin-E-Ziya Terii Mushaabahat
Maah-O-Anjum Jo Mustahaq Terii Misaal Ke
Bustaan Kah Lijiye Yaa Mausam-E- Bahaar
Qisse Barang-E Gul-O-Buu Husn-E-Kamaal Ke
Nagmaa Tarannum Naaz Ho Yaa Ghazl-E-Sogwaar
Kuchh Tabsare Hain Sar-Ba-Sar Ranj-O-Malaal Ke
Kuchh Warq-E-Betartaab Yeh Dil Kii Kitab Ke
Naqsh-O-Nigaar-E-Soz Hain Rakhkhe Sambhaal Ke
Tu Maalik-O-Mukhtaar Hai De Naa Javaab De
Tab Bhi Taqaaze Hain Merii Arz-O-Sawaal Ke
Ek nazar hai tu deedar ke liye
Ek Nazar Hai Tu Deedar Ke Liye,
Ek Lamha Hai Intezaar Ke Liye,
Ek Khwab Hai Tu Jise Meri Aakhen Dekhe,
Ek Tasveer Hai Tu Bus Pyaar Ke Liye.
By Debashish
Dil mein uske dua hai aankhon uski
Dil Mein Uske Dua Hai‚Â Aankhon Mein Uski Kashish Hai
Kohinoor Hai Jaise Roop Uska Hontho Per Narm Tapish Hai
Adao Ki Shokiya Usme Sagar Se Bhi Gehri Hai
Door Jaha Se Aayi Jaise Woh Ek Pari Hai
Baaton Mein Uski Shararat Hai Har Lafz Mein Jaise Nazakat Hai
Khud Ko Jana Nahi Usne Ki Is Jahan Ki Woh Mohabbat Hai
Uske Is Bholepan Se Jindagi Meri Sanwri Hai
Door Jaha Se Aayi Jaise Woh Ek Pari Hai
Mere Dil Ke Jajwato Ko Jaise Usne Thaam Liya Hai
Khusiya Deker Gum Leti Hai Aisi Woh Sirfiri Hai
Door Jaha Se Aayi Jaise Woh Ek Pari Hai
Tumhari yaad mein tumhein dhoondti har pal
Tumhari Yaad Mein Tumhein Dhoondti Har Pal Nazar
Wo Masoom Saa Chehraa Apna Dikhaa Jao Na Ek Din
Sadiyon Se Tumhein Dil Se Pukara Hai Maine
Apne Dil Ki Baat Mujhe Bhi Sunaa Jao Na Ek Din
Tumhaare Sang Jeevan Bitana Meri Hai Khwahish
Mere Sang Reh Kar Meri Is Ruh Ko Mehka Jao Na Ek Din
Tumhaare Bin Ye Jindagi Hai Bas Kuch Hi Pal Ki
Main Tumhaare Liye Hun Banaa Ye Dikha Jao Na Ek Din
Bechain Ye Dil Tarse Pal Pal Pyaar Ko Tumhaare
Apne Hothon Se Wo Pyar Ki Bahar Barsa Jao Na Ek Din
Is Mehki Fiza Mein Meri Khwahishein Hain Bikhri
Saare Jahaan Ki Khushiyan Dene Aa Jao Na Ek Din
Jindagi Bhar Saath Nibhaane Ka Wada Kiya Jo Tumne
Sang Jeene Marne Ka Wo Wada Nibha Jao Na Ek Din
Dil Ka Dil Se Rishta Dil Mein Basa Naam Tumhara
Tum Bhi Apne Dil Ki Har Baat Bata Jao Na Ek Din
Tum Bin Jindagi Ki Sab Khushiyan Hain Adhoori
Har Khushi Ko Meri Jindagi Mein Basa Jao Na Ek Din
Tumhari Aakhon Se Dekhe Jo Khwab Ab Tak Maine
Meri Palkon Pe Wo Sunehre Khwab Saja Jao Na Ek Din
Har Phool Mein Basi Jaise Tumhaari Hi Khushboo
Meri Bagiya Mein Bhi Ek Phool Khila Jao Na Ek Din
Har Sitaare Mein Hai Tumhari Choodiyon Ki Chamak
Apne Haathon Ki Wo Choodiyan Khanka Jao Na Ek Din
Loh e jahan pe naqsh hue the hazar lafz
Loh-E-Jahan Pe Naqsh Hue The Hazar Lafz
Likhne Ka Lafz Lafz Ke Per Dhang Aur Tha
Auraq Zindagi Ke Mere Saamna The Aaj
The Naqsh Mukhtalif Tu Kahin Rang Aur Tha
Kitni Hi Daastanain Qalamkar Ne Likheen
Likhne Ke Saath Saath Wo Us Ne Mita Bhi Dein
Kitne Hai Zor War Yahan Aa Ker Guzar Gaye
Is Mehrabaan Ki Ranjishain Koi Na Seh Saka
Sare Hakim Shair-O-Sofi Guzar Gaye
Lekin Ye Raaz Kya He Ye Koi Na Keh Saka
Lekin Ajeeb Baat He Ke Mere Waste
Tera Haseen Rukh He Baqa-E-Dawaam He
Ye Saadgi Ada Ki Teri Aur Ye Baankpan
Tiyaaq Aagahi Ka Hain Nisyaan Ke Jaam Hain
Main Jab Bhi Dekhta Hoon Tere Lab Ke Dilkashi
Lagta He Yoon Ke Hain Kisi Maikash Ke Ye Dua
In Mast Mast Aankhoon Ki Masti He Kiya Ghazab
Lagta He Yoon Ke Apni He Masti Pe Hain Khafa
Yazdaan Tera Qalam Ye Nafas Sad Hazar Rang
Mumkin Ye He Ke Khama Tera May Se Ho Bhara
Mumkin Ye He Ke Hafiz-E-Mushrab Ka Ho Khayal
Mumkin Ye He Ke Ho Kisi Piyale Ki Ye Sada
Jo Kuch Bhi Ho Mager Ye Mera Naqsh-E-Be-Sabat
Markaz Bana He Jab Bhi Tere Iltafat Ka
Masti Main Tere Roop Ki Yoon Kho Gaya Ke Phir
Khadsha Nahin Raha Ise Apne Sabat Ka
Sunaa hai bole to baaton se phul
Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Raat Use Chaand Taktaa Rahtaa Hai
Sitaare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain
(Baam-E-Falak : Terrace Of The Horizon)
Sunaa Hai Hashr Hain Us Kii Gazaal Si Aankhen
Sunaa Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Din Ko Use Titaliyaan Sataati Hain
Sunaa Hai Raat Ko Jugnuu Thaher Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Raat Se Barh Kar Hain Kaakulen Us Ki
Sunaa Hai Shaam Ko Saaye Guzar Ke Dekhte Hain
(Kaakul : Tresses)
Sunaa Hai Us Kii Siyaah Chashmagii Qayaamat Hai
So Us Ko Surmaafarosh Aah Bhar Ke Dekhte Hain
(Surmaafarosh : Kohl Vendors)
Sunaa Hai Us Ke Labon Se Gulaab Jalte Hain
So Ham Bahaar Par Ilzaam Dhar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Aa-‘inaa Tamsaal Hai Jabiin Uski
Jo Saadaa Dil Hain Ban Sanvar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Jab Se Hamaail Hain Us Ki Gardan Mein
Mizaaj Aur Hii Laal-O-Gauhar Ke Dekhte Hain
(Hamaail : Something To Wear Around The Neck)
Sunaa Hai Chashm-E-Tasavvur Se Dasht-E-Imkaan Men
Palang Zaave (?) Us Kii Kamar Ke Dekhte Hain
(Chashm-E-Tasavvur : Eyes Of Imagination)
Sunaa Hai Us Ke Badan Ke Taraash Aise Hain
Ke Phuul Apanii Qabaayen Katar Ke Dekhte Hain
(Qabaayen : Tunic)
Vo Sarv-Qad Hai Magar Be-Gul-E-Muraad Nahi
Ke Us Shajar Pe Shaguufe Samar Ke Dekhte Hain
(Sarv-Qad : Tall And Graceful; Shaguufe : Bud; Samar : Fruit)
Bas Ek Nigaah Se Lutataa Hai Qaafilaa Dil Ka
So Rah-Ravaan-E-Tamannaa Bhii Dar Ke Dekhte Hain
(Rah-Ravaa.N : Travellers)
Sunaa Hai Us Ke Shabistaan Se Muttasil Hai Bahisht
Makiin Udhar Ke Bhii Jalve Idhar Ke Dekhte Hain
(Shabistan : Bedroom; Muttasil : Near; Makiin : Tenant)
Ruke To Gardishen Us Kaa Tavaaf Karti Hain
Chale To Us Ko Zamaane Thaher Ke Dekhte Hain
(Gardish : Time)
Kise Nasib Ke Be-Pairahan Use Dekhe
Kabhii Kabhi Dar-O-Diivaar Ghar Ke Dekhte Hain
(Be-Pairahan : Without Clothes)
Kahaaniyaan Hi Sahi Sab Mubaalage Hi Sahii
Agar Vo Khvaab Hai Taabiir Kar Ke Dekhte Hain
(Mubaalage : Beyond One-‘s Limits)
Ab Us Ke Shahar Men Thaharen Ki Kuch Kar Jaayen
-Å—faraz-Â Aao Sitaare Safar Ke Dekhte Hain
Is dharti par paida hokar bhi kyu
Is Dharti Par Paida Hokar Bhi Kyu Tum
Videsho Mein Jaakar Bas Jaate Ho,
Apne Desh Ko Bhulkar Angrezo Ki Seva Karaate Ho,
Kya Isi Ko Tum Sapno Ka Bharat Batate Ho.
gandhi, subhash ne dilai azzadi
humko fir bhi alexander ko great batate ho,
shahjahan ne banaya taj mahal to kyu
statue of liberty ko dekhte reh jaate ho,
kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho.
baal hanuman tha sabse pyara fir kyu
harry potter ko sunder batate ho,
angrezi school mein padkar
hindi bolne se lajjit ho jate ho,
kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho.
mana desh ke neta chor hai
par tum khud ko kyu baiman banate ho,
kyu tum garibo ko maarkar
ameero ke pair chaatte ho,
kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho.
Phir ek shaam aayi aapki yaadon ko
Phir Ek Shaam Aayi Aapki Yaadon Ko Lekar,
Phir Ek Raat Aayi Aapka Khayaal Lekar,
Aap Aana Chaaho Yaa Phir Na Hi Aana Chaaho,
Her Ek Khwaab Aata Hai Aapki “Pyari Surat” Lekar.
By Ruhin Shaikh “Rohi”
Khuda se husan ne aake roz sawal
Khuda Se Husan Ne Aake Roz Sawal Kiya
Jahan Mein Kyu Na Mujhe Tu Ne La-Zawal Kiya
Mila Jawab Kay Tasvir Khana Hai Duniya
Shab-E-Daraz Adam Ka Fasana Hai Duniya
Hohi Hai Rang-E-Tagiyor Say Jub Namod Is Ki
Wohi Husan Hai Haqiqat Zawal Jis Ki
Kahi Qareb Tha Yea Goftgo‚Â Qamar Nay Suni
Falak Pay Ahm Hohi‚Â Akther-E-Shar Nay Suni
Sher Nay Taray Say Son Kar Sonahi Shabnam Ko
Falak Ki Baat Bata Di Zamin Kay Mehram Ko
Bhar Ahea Phol Kay Ahnsoo Payam-E-Shabnam Say
Kali Ka Nana Sa Dil Khon Ho Gaya Gum Say
Chaman Say Rota Howa Mosam-E-Bhar Gaya
Shabab Shar Ko Ahya Tha‚Â Sog War Gaya
Tujh ko dekhege to sitaare bhi ziyaa
Tujh Ko Dekhege To Sitaare Bhi Ziyaa Mangege
Aur Pyaase Teri Zulfon Se Ghataa Mangege
Apne Kaandhe Se Dupatta Na Sarakne Dena
Warna Boodhe Bhi Jawaani Ki Dua Mangege
Aapke aane se khil gaya hai aangan
Aapke Aane Se Khil Gaya Hai Aangan,
Aaapke Saath Se Jhoom Untha Hai Gagan,
Aap Ho Isiliye Khush Hai Sara Chaman,
Aur Aapse Pyar Karne Ko Hum Lenge Hazaron Janam.
By Mohit Bhatt
Gujartein hain wo saamne jab bhi mere
Gujartein Hain Wo Saamne Jab Bhi Mere,
To Yeh Mousam Haseen Ban Jata Hai,
Udti Hui Unki Zulfon Ke Saaye Mein,
Chand Bhi Aksar Sharma Jata Hai,
Tareef Nahin Kar Sakta Unki Chand Alfazon Mein,
Yeh Dil Itna Unpe Marta Hai Ki Shayar Ban Jata Hai.
By Akash Chauhan
Log kehte hain aap jise pyar karte
Log Kehte Hain Aap Jise Pyar Karte Hain
Woh Chand Ka Tukda Hota Hain
Magar Hum Kehte Hum Jise Pyar Karte Hain
Chand Usi Ka Tukda Hain
Jugnu ki tarah chamkane jaroorat kya hai
Jugnu Ki Tarah Chamkane Ki Jaroorat Kya Hai,
Apni Parchhayi Badlane Ki Jarurat Kya Hai,
Jise Chadni Khud Jhukkar Salam Karti Ho,
Use Itana Sawrane Ki Jarurat Kya Hai.
By Arvind Pandey
Muskara kar yu unhone dekh liya dil
Muskara Kar Yu Unhone Dekh Liya
Dil Se Jaise Ek Laher Si Gayi
Is Tez-Taraaz Zindagi Ki
Raftaar Jaise Thaher Si Gayi
Aankhon mein kaazal hothon laali hai thora
Aankhon Mein Kaazal Hothon Mein Laali Hai
Thora Sarmana Thora Itrana Umar Tumhari Baali Hai
Youn Sararat Se Dekhna Fir Nazaren Jhuka Dena
Haay Ye Aada Bhi Kaya Khoob Nirali Hai
Maathe Pe Chamkati Bindiya Tumhari Kaano Mein Baali Hai
Tum Ho Kali Kisi Gulsan Ki Aur Dil Mera Maali Hai
Surme ka til laga ke nukta bhada
Surme Ka Til Laga Ke
Nukta Bhada Rehe Ho Kuda Ki Kitab Mein
Ya To Kar Le Naqaab Ya Ho Ja Benaqaab
Ya Phir Chupa Le Mujhe Bhi Naqaab Mein
Ek bholi si surat hogi do kajrare
Ek Bholi Si Surat Hogi Do Kajrare Naina Jhilmil
Hoth Gulab Ke Pankho Sephoolo Ki Mehek Sanson Mein Shamil
Galon Mein Suraj Ki Lalimathe Par Pyari Si Bindiya
Kesh Kaale Baadal Se Ada Uda De Jo Nindiya
Muskan Ke Jaise Bagon Mein Phoolo Ka Khilna Hoga
Lachak Kamar Ki Hogi Aisi Jyu Nadiyon Ka Mudna Hoga
Apsarao Sa Yowan Kano Mein Taaron Ki Bali
Mujhe Lage Hai Aisi Hogi Yahan Ki Har Ek Matwali
Jitni chahat se tumhe dekha utni kuch
Jitni Chahat Se Tumhe Dekha,
Utni Chahat Se Kuch Nahi Dekha,
Dekhne Do Apne Chehre Ko Ji Bhar Ke,
Humein Muddat Hui In Aankhon Ne ‘Chand’ Nahi Dekha.
Unki ankhon ki masti na hoti zindagi
Unki Ankhon Ki Masti Na Hoti
Zindagi Mein Yun Madhoshi Na Hoti
Muddatoon Se Hain Unke Aarzu-Mand
Malum Nahi Yeh Muraad Kub Poori Hoti
Woh Lab Woh Julf Woh Rukhsaare Nazar
Jigar Ke Is Paar Kabhi Us Paar Na Hoti
Agar Mohabbat Isi Ko Kehte Hai
Ye Haalate Zaar Humari Na Hoti
Unke Aane Se Hote Hain Chiraagan
Kaash Ye Raat Kabhi Seher Na Hoti
Husan ko chand jawani kawal kehte hain
Husan Ko Chand jawani Ko Kawal Kehte Hain
Dekh Kar Hum‚Â Tujhe Shoghazal Kehte Hain
Uff Yeh Sange Marmal Sa Atarasha Hua Shaffaf Badan
Dekhne Wale Tujhe Taj Mahal Kehte Hain
Teri lehrati julfe na jane kya kehti
Teri Lehrati Julfe Na Jane Kya Kehti Hai,
Teri Jhuki Najro Ko Dekh Kar Log Kya Kehte Hai,
Humne Suni Hai Aapki Tareef Apne Kaano Se,
Log To Aapko Tajmahal Kehte Hai.
By Suyog
Khuda ne jab aapko yahaan pe utara
Khuda Ne Jab Aapko Yahaan Pe Utara Hoga,
Bahut Dard Se Wo Khud Ko Guzara Hoga,
Jo Dekha Hai Wo Hairan Hai Ki Ye Tasveer Kiski Hai,
Chalogi Jiske Tum Humraah Hansi Takdeer Kiski Hai,
Patjhad Mein Aapse Baharon Ka Nazara Hoga,
Suraj Bhi Nazarein Chura Le Aisi Roshani Hai Aap Mein,
Chand Bhi Sar Jhuka Le Aisi Chandni Hai Aap Mein,
Aapke Sath Ho Koi Ye Kismat Ka Sahara Hoga,
Masum Surat Dekh Ke Phool Bhi Sharma Jate Hai,
Aapke Kadmon Mein Wo Khud Ko Bikhra Jate Hai,
Unke Liye Kadam Aapka Jannat Ka Kinara Hoga,
Khuda Ne Jab Aapko Yahan Pe Utara Hoga.
By Rajnish Raaj
Tu hai to ye kaynat khushboo aye
Tu Hai To Ye Kaynat Hai Ye Khushboo Hai
Aye Dost Tujhse Hi To Ye Gulshan Ye Manjar Hai
Ye Waqt Ye Ghadiya Sub Teri Hi Gulami Karte Hai
Tera Hi Dum Pe To Sab Naakamyab Bhi Kamyabi Ki Aahai Bharte Hai
Tu Zami Hai Aur Aasma Bhi Hai Tu Khamoshi Hai Aur Masti Ka Sama Bhi Hai
Tu Chand Hai Or Umido Se Bhari Chandni Bhi Tu Hai
Tute Hoslo Ke Paro Mein Aatmvishwas Se Bharne Walli Hawa Bhi Tu Hai
Maayuso Ki Hoto Pe Tujhse Hi Muskurahat Hai
Tujhe Hi Dekh Kar Hazaaro Ke Dil Mai Kuch Karne Ki Chahat Hai
Mai Bhi Tera Hi Ek Hissa Hu
Jaanta Nahi Par Aisa Lagta Hai Shayad Pichla Janam Se Juda Koi Kissa Hu
Meri Bhi Umid Aur Takat Tujhse Hai
Jina Ki Wajah Aur Kushiyo Ki Har Aahat Tujhse Hai
Meri Dua Hai Tu Yu Hi Rahe Humesha Yuhi Rahe Humesha Yuhi Rahe Humesha
Ankhon mein sharam maathe pe pasina khuda
Ankhon Mein Sharam Maathe Pe Pasina
Khuda Ka Ho Tum Tarasha Nagina
Chaal Bhi Tumhari Qayamat Dhati Hai
Itna Husn Kahan Se Laayi Hasina
Haseen chehraa siyah zulfein kanteelee aankhon mein
Haseen Chehraa Siyah Zulfein
Kanteelee Aankhon Mein Kya Nahi
Hazaar Khubi Hain Aap Mein Huzoor
Kami Hai Itnee ‘Wafa’ Nahi
Raat ka paich o kham teri zulfen chandani nikhaar
Raat Ka Paich-O-Kham Teri Zulfen
Chandani Ka Nikhaar Tera Badan
Subah Ki Naram Law‚Â Jabeen Teri
Pighla Pighla Sa Aanch Per Kundan
[ Jabeen= Forehead]
Hont Tere Shafaq Ka Maikhana
Aankh Teri Bahaar Ka Maskan
[ Hont= Lips; Shafaq= Dawn; Maskan= Dwelling]
Ik Lachakta Hilaal Ya Abroo
Ik Lapakti Shuaa’‚Â Ya Chitwan
[ Hilaal= Moon Of Eid; Shuaa’ = Rays; Chitwan= Sight]
Teri Mizhgaan Ki Jumbish-E-Paiham
Sinaa-E-Kaaynat Ki Dharhkan
[ Mizhgaan = Eyelashes; Jumbish= Movement;
Paiham= Continuous; Kaaynat= Creation/ Universe]
Nikhat-E-Shaam-O-Itar Baad-E-Saba
Kya Hai ? Juz Tera Faiz-E-Pairaahan
[ Nikhat= Fragrance Baad-E-Saba= Morning Breeze;
Faiz= Kindness/bounty; Pairaahan= Clothing ]
Jumbish-E-Mahar-O-Maah Tera Khiraam
Gardish-E-Roz-O-Shab Tera Daaman
[ Mahar= Sun ( Here); Maah= Moon; Khiraam= Walk;
Gardish= Revolving/movement; Shab= Night]
Tujh Se Bedaar Qalb-E-Aab-O-Gil
Tujh Se Sarshaar Rooh-E-Sarw-E-Saman
[ Bedaar= Aware; Qalb= Heart; Aab= Water Gil= Earth
Sarshaar= Intoxicated; Rooh= Soul;
Sarw= Cypress Tree; Saman= Jasmine]
Teri Lai Nazm-E-Saabit-O-Sayyaar
Tera Naghma Kashish Ka Raaz-E-Kuhan
[ Kashish= Attraction; Kuhan= Old]
Shama-E-Konain Hai Ke Tera Nafas
Husn-E-Taqdeer Hai Ke Tera Sukhan
[ Shama-E-Konain= Candle Of Both The Worlds
Nafas= Breath; Sukhan= Talk]
Har Talattuf Men Har Taghaaful Men
Tu Junoon Dost Aagahi Dushman
[ Talattuf = Kindness; Taghaaful = To Ignore;
Aagahi= Knowledge]
Zindagi Hai Ke Tera Aaina
Tu Hai Ya Kaynaat Ka Joban
[ Aaina= Mirror; Joban= Youth]
Aarizon mein lubon shafuq mustaruq surkhiyan hain
Aarizon Mein Lubon Mein Shafuq Mustaruq
Surkhiyan Hain Sabhi Aapkeen Musthuq
Shub Hain Zulfon Mein Abron Kin Tareekiyan
Aisa Hum Ne To Dekha Nahi Aaj Tak
Masunmiyat ki murat ho khuda banai koi
Masunmiyat Ki Murat Ho
Khuda Ki Banai Koi Surat Ho
Teri Khushiyon Ko Kisi Ki Lage Na Nazar
Teri Zindgi Or Bhi Khubsurat Ho
Us muskurahat ki tarz par jab chhedi
Us Muskurahat Ki Tarz Par
Jab Chhedi Humne Ik Gazal
Sar Jhuk Gaye Phoolon Ke
Patthar Bhi Ban Gaye Rehbar
Subaha ka kaam hi unko uthana unke
Subaha Ka Kaam Hi Unko Uthana
Unke Husn Se Fir Humko Jalana
Jo Unhone Li Uthakar Angadaai
Wo Masoomiat Bhara Muskana
Waqt Bhi Thum Gaya ‘Kaafir’
Suraj Unka Ho Gaya Deewana
Teri har adaaon ko dekhta tujhe apne
Teri Har Adaaon Ko Dekhta
Tujhe Apne Mein Sametta
Tujhe Har Pal Yun Dekhta
Kaash May Ek Darpan Hota
Tu Mere Saamne Naha Kar Aati
Mere Kareeb Baith Kar Sawarti
Tere Har Shringar Ko May Dekhta
Kaash May Ek Darpan Hota
Tu Mujhko Bina Sharma Ke Dekhti
Mere Saamne Baith Kar Baaten Karti
Main Tumhe Bas Yun Nihaarta Rehta
Kaash May Ek Darpan Hota
Kitna roshan hai tera chehra mere hamdam
Kitna Roshan Hai Tera Chehra Mere Hamdam…
Diya Jalane Ki Abb Kise Fursat Hai…
By Jerry G
Aap ki muskaan kabhi hoto se na
Aap Ki Muskaan Kabhi Hoto Se Na Chutey
Duniya Mein Aap Se Koi Na Ruthey
Meharban Ho Khuda Aap Par Itna Ki
Aasmaan Ke Tarey Bhi Aap Ki Marji Se Tutey
Ishq mein humein wo mukaam mila hai
Ishq Mein Humein Wo Mukaam Mila Hai, Pairo Tale Humein Aasmaan Mila Hai,
Ek Ajab Si Chamak Hai Unki Aakhon Mein, Insaan Ke Roop Mein Bhagwan Mila Hai,
Unke Honth Bade Hi Pyare, Un Honthon Se Humein Ek Naam Mila Hai,
Hum To Gumnaami Ke Andheron Mein Khoye The Kahi, Unki Wajah Se Humein Ek Pehchaan Mila Hai,
Unki Chahat Mein Kuch Baat Hai, Ek Awaara Ko Bhi Kaam Mila Hai,
Jab Se Unki Tavajjoh Humpar Kya Hui, Humein Barkat, Shohrat Aur Samaan Mila Hai.
By Achyut Swaroop Mishra
Jab dekha tera chehra chand bhi sharmagaya
Jab Dekha Tera Chehra Chand Bhi Sharmagaya
Naa Jaane Kyun Mera Dil Tujhpar Aagaya
Ek Ajab Si Baat Hai Tere Chehre Par
Jise Dekhte Hi Mere Dil Ko Thandak Milti Hai
Ek khubsurat si shaam jaise hote hai
Ek Khubsurat Si Shaam Jaise Hote Hai,
Azmaat Ke Unche Mukaam Jaise Hote Hai,
Banke Kiran Woh Bikherte Hai Roshni,
Kuchh Log Apne Hi Naam Jaise Hote Hai.
By Vibha
Aapke deedar ko nikal aaye hai taare
Aapke Deedar Ko Nikal Aaye Hai Taare,
Aapki Khushboo Se Chha Gayi Hai Bahare,
Aapke Saath Dikhte Hai Kuch Aise Nazare,
Ki Chhup Chhup Ke Chand Bhi Bas Aaphi Ko Nihare.
By Mohit Bhatt
Aaj abroun mein yeh rawaan hai kya
Aaj Abroun Mein Yeh Rawaan Hai Kya
In Fuhaaroun Ki Daastaan Hai Kya
Un Kee Julfoun Mein Machaltaa Hai Jo
Ya Ilaahee Wahee Toofaan Hai Kya
Aap khubsurat hain itne ke har shakhs
Aap Khubsurat Hain Itne,
Ke Har Shakhs Ki Zuban Par Aap Hi Ka Tarana Hai,
Hum Nacheez To Kahan Kisi Ke Kaabil,
Aur Aapka To Khuda Bhi Diwana Hai.
Tere bheege honthon ki kasam teri khubsurat
Tere Bheege Honthon Ki Kasam
Teri Khubsurat Muskurahat Ki Kasam
Tujhsa Husna Jahan Mein Kisi Ka Nahi
Tujhe Dekh Kar Farishto Ke Bhi Dagmaga Jaaye Kadam
E-Mere Dil Ke Sukun Ko Lootne Vaali
Ab To Kar Meri Chahat Par Thoda Sa Reham
Tum Mujhe Kuch Dino Mai Bhool Jaaoge Shayad
Par Tum Mujhe Yaad Aaoge ”Saato Janam”
Wo ek ladki jo meri ghazal hai
Wo Ek Ladki Jo Meri Ghazal Hai,
Wo Ek Ladki Jo Khilti Kamal Hai,
Wo Ek Ladki Jo Taaz Mahal Hai,
Wo Ek Ladki Tum Hi To Ho,
Wo Uski Gesoo Kaali Ghatayen,
Wo Uski Palkon Se Lahrati Hawayen,
Wo Uski Yaaden Meri Wafayen,
Wo Ek Ladki Tum Hi To Ho,
Wo Uski Aanken Chamakte Moti,
Wo Uski Palken Aankhon Ko Chhooti,
Wo Uske Gaal Sehra-E-Moti,
Wo Ek Ladki Tum Hi To Ho,
Wo Uske Lab Gulaab Jaise,
Wo Uska Maatha Khuli Kitaab Jaise,
Uski Mushkaan Se Girte Phool Jaise,
Wo Ek Ladki Tum Hi To Ho.
By Sarfaraj Ahmad
Ae husn wale tu na kar itna
Ae Husn Wale Tu Na Kar Itna Guman Aapne Is Husn Par
Ke Hum Tere Husn Par Nahi Teri Shaadgi Par Marte Hai
Maana Ke Kaatil Hai Teri Jawaani
Par Hum Teri Jawaani Pe Nahi Marte
Hum To Un Do Aankhon Pe Marte Hai
Jis Mein Hume Sachayi Nazar Aati Hai
Maana Ke Chand Si Hasin Surat Hai Tumari
Par Hum Us Chand Pe Nahi Marte Jo Daag Daar Hai
Hum To Us Dil Pe Marte Hai Jo Shitaro Ki Tarha Shaaf Hai
Ae Husn Wale Tu Na Kar Itna Gumand Apne Husn Par
Ke Hum Tere Husn Par Nahi‚Â Teri Shaadgi Pe Marte Hai
Wo chanchal shokh aadian aakho ka kajal
Wo Chanchal Shokh Aadian
Wo Aakho Ka Kajal
Wo Chahre Ka Noor
Wo Hotho Ki Lali
Wo Boli Koyal Wali
Wo Chupke Se Sharmana Tera
Wo Lachakte Hue Panghat Pe Jana Tera
Aaisa Lagta Hai Aayi Hai Kahi Kisi Hi Jahan Se
Banai Gai Hai Mere Liye‚Â Ye Dil Hai Teri Khatir
Tujhe Pane Ke Liye Kar Du Main Aapni Ja Talak Hazir
Mat muskurao itna ke phoolon ko khabar
Mat Muskurao Itna
Ke Phoolon Ko Khabar Lag Jaye
Ke Wo Karein Tumhari Tareef
Aur Tumhe Unki Nazar Lag Jaye
Tareef us khuda ki jisne yeh jahaan
Tareef Us Khuda Ki Jisne Yeh Jahaan Banaya
Shama Banake Tujhko Parwaana Mujhe Banaya
Aakhon Mein Samander Banake Tere Hothon Ko,
Phoolon Ka Khazaana Mujhe Banaya.
Zulfon Ka Baadal Banake Tujhko Us Ghata Ka
Pyaasa Mujhe Banaya.
Phoolon Sa Komal Banake Tujhko Bhavron Sa
Pagaal Mujhe Banaya.
Khusboo Se Mehka Ke Tujhko Tere Seene Se
Dhadakta Aachal Mujhe Banaya.
Subah Ki Shabnam Banake Tujhko Suraj Ki
Pehli Kiran Mujhe Banaya.
Nasheela Jaam Banake Tujhko
Behakta Paimaana Mujhe Banaya.
Chaudvi Ka Chaand Banake Tujhko Aagaaz Se
Bhari Raat Ka Intezaar Mujhe Banaya.
Husn Ki Malika Banake Tujhko Us Husn Ka
Ja-Nichaavar Mujhe Banaya
Zindagi Ki Sabse Haseen Ghazal Banake Tujhko,
Us Ghazal Ka Khushnuma Shayar Mujhe Banaya
Tareef Us Khuda Ki Jisne Yeh Jahaan Banaya,
Mera Khuda Banake Tujhko Tujhe Hi Ko Mera Jahaan Banaya
Tareef Us Khuda Ki Jisne Yeh Jahaan Banaya
Tareef Us Khuda Ki Jisne Yeh Jahaan Banaya
Ik dhoondhla sa cehra roz humain sapno
Ik Dhoondhla Sa Cehra Roz Humain Sapno Mein Nazar Aata Hai
Roz Sapno Mein Aakar Humain Jagga Jata Hai
Woh Kale Lambe Baal Nelee Ankhain
Unko Dekh Chand Bhi Sharma Jata Hai
Ik Dhoondhla Sa Cehra Roz Humain Sapno Nazar Aata Hai
Na Jane Kaun Hai Woh Jo Sapno Main Aati Hai
Karti Hai Baatain Aur Kuch Hansi Ke Pal De Jati Hai
Unki Aawaz Ka Zaado Mere Manpar Chaa Jaata Hai
Ik Dhoondhla Sa Cehra Roz Hamain Sapno Nazar Aata Hai
Jab Woh Cehra Nazar Aata Hai,Dil Main Pyar Ki Roshni Jagata Hai
Paas Akar Woh Cehra Hamain Jeene Ki Nayi Raah Dikhata Hai
Woh Muskurana Unka uamari Jaan Hi Le Jata Hai
Ik Dhoondhla Sa Cehra Roz Hamain Sapno Nazar Aata Hai
Aap chahe bole jo bhi boli toh
Aap Chahe Bole Jo Bhi Boli,
Aap Toh Hai Is Dil Ki Humjoli,
Ab Chahe Ho Mausam Mein Diwali Ya Holi,
Aapki Muskan Toh Bana Deti Hai Rangoli.
By Mohit Bhatt
Tu palke jhukata hai to izhaar karta
Tu Palke Jhukata Hai To Izhaar Karta Hai
Tu Palke Uthata Hai To Deedaar Karta Hai
Main Rashk Karti Hu Teri Kismat Pe
Jaise Tu Apne Khyalon Ko Sare-Bazaar Karta Hai
Hoor jannat ki mujh ko lagti hai
Hoor Jannat Ki Mujh Ko Lagti Hai,
Es Zameen Par Hai Wo Magar Palti,
Jo Bhi Dekhe Bane Diwaanaa Wo,
Chaal, Wo Morni Ki Jab Chalti,
Usko Husne Gurur Toda Hai,
Us Ne Har Dil Ko Bas Yun Todaa Hai,
Apni Haar Baat Us Ko Pyaari Hai,
Par Anaa, Ka Na Saath Choda Hai,
Us Ki Baaton Ne Dil Ye Lutaa Hai,
Ban Gaya Us Kaa, Jag Ye Chuta Hai,
Kesaa Nataa Ye Dil Ka Joda Hai,
Mene Sara Jahan Choda Hai.
Mujh Ko Wo Har Taraaf Nazar Aati,
Muskurahat Hai Uski Tadhpaati,
Us Ka Chehraa Jo Sath Rehtaa Hai,
Dil Pe Mere Ye Haath Rehtaa Hai,
Bhul Na Chahun Na Bhulaa Paaun,
Ban Ke ParChaai Sath Rehti Hai,
Ab To Us Ki Khushi Ko Jinaa Hai,
Zehar Ho – Jaam Ho Ki Pinaa Hai,
Baat Dil Ki Ye Us Ko Kehnaa Hai,
Zindagi Tere Bin Naa Rehnaa Hai.
By Hameeda Ameer
Sundar roop tumhara gora mukhra kitna pyaara
Sundar Sundar Roop Tumhara Gora Mukhra Kitna Pyaara
Dekhe Koi Nazar Lag Jaaye Ek Pal Bhi Woh Reh Na Paye
Par Phir Bhi Tum Na Jaane Kyon Mujhko Nahin Suhati Ho
Jaanam Tum Meri Nazaron Mein Aur Bhi Girti Jaati Ho
Jaanu Jaanam Darling Jaise; Shabd Tumhare Kahan Kho Gaye
Aaj To Bas Tum Yun Kehati Ho Are Kahan Ho Kahan Mar Gaye
Pehle Koyal Thi Par Ab Tum Kauwwe Si Chillati Ho
Jaanam Tum Meri Nazaron Mein
Karkash Hai Aawaj Tumhari Sab Dushton Par Ho Tum Bhari
Chillati Ho Jab Tum Mujh Par Meri Matee Jaati Hai Maari
Mere Mann Mein Apno Ke Prati Kitna Vish Bharwaati Ho
Jaanam Tum Meri Nazaron Mein
Saas Sasur Kuch Bhi Le Aayen Sab Kuch Hai Bakwaas
Maayeke Se Kutta Bhi Le Aao To Woh Ho Jaaye Khaas
Meri Tankwah(Salary) Tum Haraam Ke Dhan(Money) Ki Tarah Udati Ho
Jaanam Tum Meri Nazaron Mein
Kab dil ko hum ne waqf e tamanna na
Kab Dil Ko Hum Ne Waqf-E-Tamanna Na Kiya Tha
Tab Se Kiya Tha Jab Shuroo Chalna Na Kiya Tha
Jaise Kiya Hai Haalat-E-Dil Ko Mere Kharaab
Ye Haal Tu Ne Ishq Kisi Ka Na Kiya Tha
Kerte The Apne Aap Se He Khud Kalamian
Rasta Sukhan Ka Aap Se Jab Wa Na Kiya Tha
Be Kaif He The Zindagi Majnoon Ki Tab Talak
Jab Tak Ke Khud Ko Aashiq-E-Laila Na Kiya Tha
Yousuf Ke Husn Ka Koi Chracha Na Hua Tha
Jab Tak Ke Aam Haal-E-Zlaikha Na Kiya Tha
Jab Tak Tumhare Husn Ka Fitna Na Utha Tha
Tab Tak Khuda Ne Hashr Ka Waada Na Kiya Tha
Rote rote hansi aa gayi dekho humko yaar
Rote-Rote Hansi Aa Gayi Dekho Humko Yaar
Jab Humne Kiya Apne Pyare Yaar Ka Deedar
Uske Chehre Mein Na Jaane Kaisi Hai Kashish
Mujhko Usne Kiya Deewana Bhoola Mein To Apni Service
So Na Paau Raato Ko Sochu Usko Her Ek Pal
Usne Mera Aaj Sajaya Aur Sajayegi Ab Kal
Chaand doob jata hai dekh kar tera
Chaand Doob Jata Hai Dekh Kar Tera Chehra
Choom Kar Zulfein Teri Raat Muskuraati Hai
Kya Teri Adayein Hain Kya Teri Jawaani Hai
Raah Bhool Jaate Hain Tujhko Dekhne Waale
Hosh Doob Deti Hai Teri Chaal Mastaani
Aur Nazar Teri Zaalim Bijliyaan Giraati Hai
Aap aayi humare garib khane mein is
Aap Aayi Humare Garib Khane Mein
Is Kaniz Ka Jahan Jaise Jannat Ho Gaya
Hum Khud Apni Aawaz Sunne Ko Taras Rahe The
Aapke Alfaaz Sune To Yeh Lamha
Saari Zindagi Ho Gaya
Chandni Mein Kud Ko Yun Na Sawariye
Aapko Dekhkar Chand Bhi Sharma Gaya
Phoolon Ko Apni Khubsurti Par Ghamand Tha
Aapko Dekha To Pura Bagh Murjha Gaya
Zaroorat Nahi Hai Ab Chaand Aur Suraj Ki
Aapke Chehre Ke Noor Se
Yeh Jahan Roshan Ho Gaya
Aapki Tariff Mein Aur Kya Bayan Karu
Aapki Khubsoorti Ke Aage
To Yeh Shayar Bhi Haar Gaya
Kisi ko paas aane mein waqt lagta
Kisi Ko Paas Aane Mein Waqt Lagta Hai,
Kisi Ko Apna Banane Mein Waqt Lagta Hai,
Jab Manga Khuda Se Apko,
Usne Kaha “Anmol Cheez Pane Mein Waqt Lagta Hai”.
By Muskaan Rida
Bahaktee khushboo e gul see mahak key chaltee ho
Bahaktee Khushboo-E-Gul See Mahak Key Chaltee Ho
Lalaktey Jhounkoun Mein Toofaan-See Machaltee Ho
Husn Key Kitney Bharam Paaloon Jigar Mein Apney
Kyounki Tum Anchhuye Saanchoun Mein Roz Dhaltee Ho
Sotey-Jugtey Ajeeb Khwaab Deykhtaa Hoon Mein
Tum-Hee-Tum Aakey Sarey Aam Mujhey Miltee Ho
Jab ‘Abd’ Mein Tumhain Pahchaan Naha Pataa Hu
Tabssumoun Mein Merey Roo-B-Roo Pighaltee Ho
Aap mein kuch baat hai auron se
Aap Mein Kuch Baat Hai,
Aap Auron Se Kuch Khaas Hai,
Aapki Tareef Mein Kya Kahoon,
Aapke Aage Chand Ki Khoobsurti Bhi Bekar Hai.
By Amrendra
Karam hai ki tum ne bulaaya hum
Karam Hai Ki Tum Ne Bulaaya Hai Hum Ko
Kaleyzey Se Apney Lagayaa Hai Hum Ko
Tumhain Jaankar Bhi Nahi Jaanta Tha
Shub-O-Roz Jalwa Dikhayaa Hai Hum Ko
Jahannum Waheen Hai Jahaan Tum Nahi Ho
Tarannum Mein Pariyon Ney Gaayaa Hai Tum Ko
Tumhara Kaheen Bhi Muqaabil Nahi Hai
Khuda Ney Alug Sey Banaayaa Hai Tum Ko
Ye Gunchey Ye Rungeeniyan: Kuchh Naheen Hain
Shafuq Ney Bahut Aazmaayaa Hai Tum Ko
Talaashaa Thaa Katme-E-Adum Mein Bhi Mainey
Magar Mulq-E-Fanee Mein Paayaa Hai Tum Ko
Tumhain Hur Dahur Mein Pukara Hai Mainey
‘Abd’ Har Lumhey Gungunayaa Hai Tum Ko
Teri saadgi ko nihaarne ka dil karta
Teri Saadgi Ko Nihaarne Ka Dil Karta Hai,
Tamaam Umr Tere Naam Karne Ka Dil Karta Hai,
Ek Mukammal Shayari Hai Tu Kudrat Ki,
Tujhe Ghazal Banake Jubaan Pe Laane Ka Dil Karta Hai.
By Debashish
Log jhuk jaatey hain apney waqaar sey
Log Jhuk Jaatey Hain Apney Waqaar Sey, Leykin,
Husn To Husn Hai: Khushkhwaar Hai Zameen Key Liye!
Aap Aaneyn To, Bin Phaloun Key Bhi Jhuk Jaayengey
Tamaam Ye Darakht, Khairmaqdamee Key Liye!!
By Abd Bundeli (Ram Prakash Garg)
Unhon ne baalon mein phool lagaane ka sabab
Unhon-Ne Baalon Mein Phool,
Lagaane Ka Sabab Ye Bataaya Hai,
Log Dekh Len Khuda Ne Kise,
Jyada Khoobsoorat Banaaya Hai.
By Pramod Kumar Sharma
Narm hotho ki aag kahi mujhe jala
Narm Narm Hotho Ki Aag Kahi Mujhe Jala Na De
Teri Sanso Ki Thandi Aahe Mujhe Jama Na De
Teri Rohani Lagta Hai Jaise Chand
Karta Hai Roshni Jab Badal Tale Chup Jata Hai Chand
Teri Bate Sunker Dil Kerta Hai Ki Kano Ko Band Ker Lu
Taki Gunjti Rehe Sari Zindgani Ye Mere Zahan Mein
Or Kya Tere Husn Ki Tarif Keru Aa Jaduger
Kahi Ho Na Jaye Ye Besbar
Kya soch ker tere husn kee taameer
Kya Soch Ker Tere Husn Kee Taameer Kee Hogi,
Kya Soch Ker Khuda Ne Tujhko Banaya Hoga.
Badi Pyari Lagi Hogi Usko Bhi Teri Soorat,
Jub-Jub Naqab Tere Rukh Se Hawa Ne Hataya Hoga.
By Sahil Verma
Woh roop yauwan niree shokh chhataa jisne
Woh Roop Woh Yauwan Woh Niree Shokh Chhataa
Jisne Dekhi Na Tere Dar Se Woh Phir Door Hataa
Gore Mukhde Par Wo Bikhri Hui Baalon Ki Latein
Chaand Ko Jaise Liye God Ho Sawan Ki Ghataa
Aapko dekhar aati hai baharein dekhkar chhate
Aapko Dekhar Aati Hai Baharein,
Aapko Dekhkar Chhate Hai Sitare,
Aap Hi Ko Dekhkar Khil Jate Hai Phool,
Lagta Hai Aapko Banane Mein,
Nahi Hui Rab Se Thodi Si Bhi Bhool.
By Mohit Bhatt
Raat din jine na deti hai kuch
Raat Din Jine Na Deti Hai,
Kuch Aissi Aapki Adaaye Hai,
Aapki Iss Adaaon Pe To Khuda Bhi Fida Hai,
To Fir Iss Nacheez Rohi Shayara Ki Kya Khata Hai.
By Ruhin Shaikh “Rohi”
Jis din aap jami par aaye wo
Jis Din Aap Jami Par Aaye,
Wo Aasman Bhi Bahut Roya Tha.
Aakhir Wo Rota Bhi Na Kaise,
Usne Mere Liye Apna Khubsurat Sitara Jo Khoya Tha.
By Mahendra Singh
Dikhakar ek jhalak wo apne hathon se
Dikhakar Ek Jhalak,
Wo Apne Hathon Se Mukhda Chhipa Leti Hai.
Taraste Rahte Hain Ham Unke Didar Ko,
Wo Dil Par Bijli Girati Chali Jati Hai.
By Avinash Kundan
Noor e chand hai aaftaab hai uska husn to
Noor-E-Chand Hai Aaftaab Hai, Uska Husn To Lajawab Hai,
Jinke Deed Ko Tarasti Hai Hamari Nigahein, Wo Pari Hai Ya Mallika-E-Shabab Hai,
Unki Julfein Kaali Raat Ki Tarah, Uljho To Ek Khwab Hai,
Jheel Si Hain Nigahein Unki, Gehrai Ya Khuda Be Hisaab Hai,
Badan Lachila, Honth Rasile, Jaise Ki Ek Gulaab Hai,
Hum Wo Kaante Hain “Achyut” Unki Hifazat Ke Liye, Jinki Taarif To Be Alfaaz Hai.
By Achyut Swaroop Mishra
¤¨ ¤… Â¥ ¤- ¤¿ ¤¨ ¤¾ ¤° Â¥‘’¡ ¤ª ¤¾ ¤¨ Â¥ ¤® Â¥‘’¡ ¤‘’𠤲 ¥ŗ ¤- Â¥ ¤ ¤- ¤¨ ¤¹ ¤¾ ¤¤ Â¥ ¤¹ ¥ˆ
¤… Â¥‘’¡ ¤— ¤… Â¥‘’¡ ¤— ¤- Â¥‘’¡ ¤… ¤ª ¤¨ Â¥‘’¡ ¤‘’ ¤ª ¤- Â¥‘’¹ ¤¶ ¤° ¤® ¤¾ ¤¤ Â¥ ¤² ¤¾ ¤ŗ ¤¿ ¤¯ ¤¾ ¤¤ Â¥ ¤¹ ¥ˆ
¤— Â¥‘’¡ ¤² ¤° ¤¹ Â¥ ¤¹ ¥ˆ ¤µ Â¥‘’¹ ¤ª ¤¾ ¤¨ Â¥ ¤¸ Â¥‘’¡ ¤– ¤° ¤‘’° ¤¸ ¤¸ Â¥‘’¡ ¤ª ¤¾ ¤¨ Â¥
¤ ¤¸ ¤¾ ¤² ¤– ¤¤ ¤¾ ¤¹ ¥ˆ ¤ŗ ¤² ¤ª ¤° ¤¿ ¤¯ Â¥‘’¹ ¤‘’š ¤- Â¥ ¤- Â¥‘’¹ ¤ˆ ¤° ¤¾ ¤¨ Â¥
¤– Â¥‘’¹ ¤° Â¥‘’¡ ¤– Â¥‘’¹ ¤° Â¥‘’¡ ¤ ¤… ¤¨ ¤¸ Â¥‘’¡ ¤‘’° ¤¸ ¤- Â¥‘’¡ ¤¨ ¤¿ ¤- ¤² ¤° ¤¹ Â¥‘’¡ ¤¹ ¥ˆ ¤‘’𠤶 Â¥‘’¹ ¤² Â¥‘’¡
¤¡ Â¥‘’¹ ¤² ¤° ¤¹ Â¥ ¤¹ ¥ˆ ¤‘’° ¤¸ ¤- Â¥ ¤ŗ ¤µ ¤¾ ¤¨ Â¥ ¤— ¤¾ ¤¤ Â¥ ¤¹ ¥ˆ ¤¹ ¤¿ ¤š ¤- Â¥‘’¹ ¤² Â¥‘’¡
¤® ¤¸ ¥ ¤¤ ¤ŗ ¤µ ¤¾ ¤¨ Â¥ ¤¸ Â¥‘’¡ ¤¨ ¤… ¤¿ ¤¯ ¤¾ ¤- Â¥‘’¡ ¤ª ¤¾ ¤¨ Â¥ ¤- Â¥‘’¹ ¤– ¤° ¤® ¤¾ ¤¤ Â¥ ¤¹ ¥ˆ
¤¨ ¤… Â¥ ¤- ¤¿ ¤¨ ¤¾ ¤° Â¥‘’¡ ¤ª ¤¾ ¤¨ Â¥ ¤® Â¥‘’¡ ¤‘’𠤲 ¥ŗ ¤- Â¥ ¤ ¤- ¤¨ ¤¹ ¤¾ ¤¤ Â¥ ¤¹ ¥ˆ
¤ª ¤¾ ¤¨ Â¥ ¤‘’° ¤¸ ¤- Â¥‘’¡ ¤ ¤… ¤¨ ¤- Â¥‘’¹ ¤š Â¥‘’𠤮 Â¥‘’¡, ¤š Â¥‘’𠤮 ¤š Â¥‘’𠤮 ¤- ¤° ¤ ¥‘’𠤮 Â¥‘’¡
¤® ¤‘’º ¤² Â¥ ¤- Â¥ ¤¤ ¤° ¤¹ ¤¾ ¤¤ ¥ˆ ¤° Â¥‘’¡ ¤µ ¤¹ ¤‘’¡ ¤§ ¤° ¤‘’° ¤§ ¤° ¤ ¥ ¤˗ Â¥‘’𠤮 Â¥‘’¡
¤¨ ¤¾ ¤– ¤¿ ¤¨ ¤- Â¥ ¤¤ ¤° ¤¹ ¤¾ ¤ª ¤¾ ¤¨ Â¥ ¤- Â¥ ¤² ¤¹ ¤° Â¥‘’¹ ¤‘’š ¤ª Â¥‘’¡ ¤² ¤¹ ¤° ¤¾ ¤Â
¤ª Â¥‘’¡ ¤¡ ¤¼ ¤ª Â¥‘’¡ ¤ŗ ¥ˆ ¤¸ Â¥‘’¡ ¤- Â¥‘’¹ ¤ˆ ¤¡ ¤¾ ¤² Â¥ ¤« Â¥‘’𠤲 Â¥‘’¹ ¤‘’š ¤- Â¥ ¤ ¤² ¤— ¤¾ ¤Â
¤ª ¤¾ ¤¨ Â¥ ¤² Â¥‘’¡ ¤² Â¥‘’¡ ¤- ¤° ¤¹ ¤¾ ¤¥ Â¥‘’¹ ¤‘’𠤮 Â¥‘’¡ ¤‘’𠤍 ¤… ¤¿ ¤¯ ¤¾ ¤- ¤¾ ¤‘’° ¤‘’º ¥ ¤² ¤¾ ¤¤ Â¥ ¤¹ ¥ˆ
¤¨ ¤… Â¥ ¤- ¤¿ ¤¨ ¤¾ ¤° Â¥‘’¡ ¤ª ¤¾ ¤¨ Â¥ ¤® Â¥‘’¡ ¤‘’𠤲 ¥ŗ ¤- Â¥ ¤ ¤- ¤¨ ¤¹ ¤¾ ¤¤ Â¥ ¤¹ ¥ˆ
¤ ¥ ¤– Â¥ ¤¸ ¤¾ ¥ŗ Â¥ ¤- Â¥‘’¡ ¤ª Â¥ ¤‘’º Â¥‘’¡ ¤¸ Â¥‘’¡ ¤ ¤¾ ¤ ¤- ¤° ¤¹ ¤¾ ¤¹ ¥ˆ ¤ŗ Â¥‘’¹ ¤ ¤¨
¤¸ Â¥‘’¹ ¤š ¤° ¤¹ Â¥ ¤¹ ¥ˆ ¤… Â¥‘’¡ ¤— Â¥‘’¡ ¤- Â¥‘’¹ ¤ˆ ¤‘’ ¤- ¤° ¤‘’° ¤¸ ¤- ¤¾ ¤¯ ¥Œ ¤µ ¤¨
¤- Â¥‘’¹ ¤ˆ ¤® ¥ ¤ ¤- Â¥‘’¹ ¤… ¤‘’š ¤– ¤² ¤– ¤¾ ¤ ¤- Â¥‘’¹ ¤ˆ ¤® ¥ ¤ ¤¸ Â¥‘’¡ ¤— Â¥‘’¡ ¤² Â¥‘’¡
¤… ¤‘’š ¤– ¤… ¤‘’š ¤– ¤‘’º ¥ ¤ ¤µ ¤¹ ¤® Â¥‘’¡ ¤° ¤¾ ¤– ¤° ¤ ¤¾ ¤¹ Â¥‘’¹ ¤‘’𠤮 Â¥‘’¡ ¤‘’𠤲 Â¥‘’¡ ¤² Â¥‘’¡
¤¤ ¤¨ ¤- Â¥‘’¹ ¤¥ ¤¿ ¤° ¤- ¤¾ ¤¤ Â¥ ¤¹ ¥ˆ ¤… ¤ª ¤¨ Â¥‘’¡ ¤– ¤° ¤® ¤¨ ¤- Â¥‘’¹ ¤ ¤¹ ¤² ¤¾ ¤¤ Â¥ ¤¹ ¥ˆ
¤¨ ¤… ¥ ¤- ¤¿ ¤
Tu har ek baat pe hans deti
Tu Har Ek Baat Pe Hans Deti Hai
Aur Main Soch Mein Parh Jaata Hoon
Ye Teri Saada-O-Masoom Hansi
Aankh Ki Bhool Samaaat Ka Fasoon
Teri Aadat Tera Andaaz Na Ho
Betakalluf Tere Honto Ki Chatak
Meri Khushfehmi Ka Aijaaz Na Ho
Chand bhi sharma jata hai deedar tumhra
Chand Bhi Sharma Jata Hai,
Deedar Tumhra Karke,
Husan Ki Malika Ho Tum,
Ek Ehsan Hum Per Bhi Kar De!
Aa Ja Is Dil Ke Rani Ban Kar,
Yahi Ek Aarju Hai Meri,
Meri Jindgi Me Aakar,
Meri Sonson Ko Bhi Apni Dheemi Si,
Muskan Dekar Jene Ka Ek Naya Sabab De De!
By Dimpal Sharma
Khoobsoorat ho tum sheeshe ke mahal ki
Khoobsoorat Ho Tum Sheeshe Ke Mahal Ki Tarah,
Kashish Bhi Hai Adawon Mein Galib Ki Ghazal Ki Tarah.
Nikla Karo Bach Ke Hawawon Se,
Kyunki Nazuk Bahut Ho Tum Kanwal Ki Tarah.
By Sahil Verma
Taras gaye aapke deedar ko phir bhi
Taras Gaye Aapke Deedar Ko,
Phir Bhi Dil Aap Hi Ko Yaad Karta Hai,
Humse Khusnaseeb To Aapke Ghar Ka Aaina Hai,
Jo Har Roz Aapke Husn Ka Deedar Karta Hai.
By Rattle Snake
Taroon ki sej per kahin soota ho
Taroon Ki Sej Per Kahin Soota Ho Jaise Chand
Shab Ki Rida Ko Orhd Ker Leta Ho Jaise Chand
Malboos Tera Dekh Ker Lagta Hai Is Tarah
Resham Mein Raat Ke Kahin Lipta‚Â Ho Jaise Chand
Sab Log Ik Taraf‚Â Tera Aana Hai Ik Taraf
Jhurmat Mein Kehkashaon Ki Nikla Ho Jaise Chand
Zulfain Udi Joo Yaar Ki Tu Yuun Laga Hamain
Shab Ki Siyah Door Main Uljha Ho Jaise Chand
Kal Us Ne Baam Se Mujhe Dekha Tu Yuun Laga
Ke Badliyoon Ki Aur Se Jhanka Ho Jaise Chand
Mere khwabon ki malika hai tu na
Mere Khwabon Ki Malika Hai Tu,
Na Tujhme Kahin Koi Kami Hogi,
Jo Na Bhi Hua Tere Pass Koi,
Roop Ka Khazana Toh Kya,
Hai Yekeen Ye Mujhe,
Dil Ki Tu Sabse Haseen Hogi.
By Rajat
Ye aankhein jhumke kangan us par nagin
Ye Aankhein, Ye Jhumke, Ye Kangan Us Par Ye Nagin Si Zulfein Teri,
Tu Qatil Hai Magar Dil Se Laga Lene Ke Qabil Hai.
By Mairaj Saifi
Ab bhi har subah teri yaad chali
Ab Bhi Har Subah Teri Yaad Chali Aati Hai
Din Humare Sang Bita Kar Raat Ko Hi Jaati Hai
Teri Yaadon Ke Aane Jaane Ka Silsila Yun Hi Chalta Rehta Hai
Aur Dil Hamara Shama Ki Tarah Jalta Rehta Hai
Aate The Khayalon Me Ab Sapnon Me Bhi Aate Ho
Apne Chahne Waalon Ko Kyon Itna Tadpaate Ho
Hum Hain Bechain Yahan Tum Wahan Muskuraate Ho
Dil To Liya Humara Ab Kya Jaanlena Chahte Ho
Ein Nigaho Se Humein Aise Na Dekho Humari Jaan Jati Hai
Jaan Jane Ko Hi Hoti Hai Par Tumhe Dekhkar Jine Ki Aas Hoti Hai
Husan lajbab hai teraa aankh jhooktee nahi
Husan Lajbab Hai Teraa
Aankh Jhooktee Nahi Milne Ke Baad
Bekar Hai Sab Ek Bar Dhoop Lagne Ke Baad
Jado Hai Tere Nayano Mein
Fas Jata Hai Dil Ek Bar Jhankne Ke Baad
Bekar Hai Nayan Hai Sharm Haya Nahi Hai
Lab Hai Laal Gulab Khila Ho Jaise
Mandraate Hai Hajar Bhanware
Kis Kam Ke Labo Be Galee Jo Ho
Ek se shararat aapki dil khush kar
Ek Se Ek Shararat Aapki,
Dil Khush Kar Dene Ki Aadat Apki,
Hum Rahe Na Rahe Apke Is Jahan Me,
Yeh Dua Hai Ki,
Salamat Rahe Hamesha Ye Muskurahat Aapki.
By Sarfaraj Ahmad
Husn par jaane kya likhkar maar gaye
Husn Par Jaane Kya Kya Likhkar Maar Gaye Shayar
Par Yeh Husn Walethe Itne Bedardi The
Ki Na Hua Inhe Ehsaash
Unke Aane Aur Jane Ka
Kyuki Inhe Husn Ke Alawa Kuch Na Dikta Tha
Aur Jab Kuch Dikhega Inhe Tab Houngi Inke Chehre Par Zuriyaan
Phoolon se achi uski khushboo kaliyon pyari
Phoolon Se Achi Uski Khushboo
Kaliyon Se Pyari Muskaan
Sitaaron Sa Chamakta Hua Chehra
Koyal Se Meethi Zabaan
Chand Bi Chup Jaye Yeh Keh Ke Asmaan Se
Ab Kiya Mera Kaam
Chandni To Aa Nikli Zameen Se
Kesi Hai Yeh Qudrat Ki Shaan
Fursat Se Banaya Hoga Rab Ne
Farishton Ka Nahin Yeh Kaam
Mitti Se Banay Hain Humsab
Us Mein Sone Ko Milaya Hoga
Hooron Ne Bhi Hasrat Se Dekha Hoga
Pariyon Se Sunder Yeh Insaan
Alfaaz Bhi Kam Partey Hain Tarfee Kerne Mein
Esi Meri Wo Jaan-E-Bahaar Hai
Chalo tum saath toh zindgi suhana safar
Chalo Tum Saath Toh
Zindgi Suhana Safar Ho Jaaye
Raho Jab Saath Toh
Apna Bhi Ek Ghar Ho Jaaye
Muskuraao Tum Jab-Jab Toh
Phoolo Mai Mehak Ho Jaaye
Lehraao Kabhi Baalo Ko Toh
Fiza Mai Baarish Ho Jaaye
Aao Kabhi Tum Paas Toh
Haath Se Haath Ka Chhoona Ho Jaaye
Chaahe Kitne Chup Rehte Ho Hont Toh
Dheere Se Lafzo Ka Sunna Ho Jaaye
Gar Baate Karo Sakhiyo Se Toh
Apne Saath Humara Bhi Zikr Ho Jaaye
Ghar Ke Darwaze Pe Kuch Socho Toh
Usme Intezaar Ka Ek Pal Humara Ho Jaaye
Shaam Ko Tum Suraj Ka Dhalna Dekho Toh
Meri Kisi Baat Se Tumhara Palke Gili Karna Ho Jaaye
Raat Ke Aasma Ke Taaro Ko Tum Dekho Toh
Kahi Sapne Mai Mera Tum Se Milna Ho Jaaye
Yeh nazaaqat surkhi nahi dekhi kahin tere
Yeh Nazaaqat Yeh Surkhi Nahi Dekhi Kahin Tere Honthon Ke Siwaa
Kisi Chehre Pe‚Â Nahi Tharteen Nazarein Ab Tere Chehre Ke Siwaa
Madhosi Ka Aalam Hua Taari Mujh Par Jabse Nazrein Mili Hain Tujh Se
Ilzaam Is Badaanoshi Ka Kise Doon Yahan Teri Aankhon Ke Siwa
Ban Ke Parwaanaa Jalna Chahtaa Hoon Main Ishq Ke Is Daur Mein
Nahin Dikhayee Deti Koi Shama Muje Tere Mahakte Badan Ke Siwa
Bahut khubsurat gazal likh raha hoon tumhe
Bahut Khubsurat Gazal Likh Raha Hoon
Tumhe Dekh Kar Aaj Kal Likh Raha Hoon
Tumhare Jawa Khusurat Badan Ko
Tarasha Hua Ek Mahel Likh Raha Hoon
Na Pocho Meri Bekharari Ka Alam
Main Ratoon Ko Karwat Badal Raha Hoon
Bahut Khubsurat Gazal Likh Raha Hoon
Tumhe Dekh Kar Aaj Kal Likhraha Hoon
Aap se ek baat kaheni thi bura
Aap Se Ek Baat Kaheni Thi
Bura Na Maan Jana Kahi
Gajab Ki Hai Aap Ki Hasi
Is Kadar Dil Khol Ke Haste
Maine Kisi Ko Dekha Nahi
Khuda Aap Ke Hasi Hamesha Barkarar Rakhe
Bahut hasin lag rahe the aap us
Bahut Hasin Lag Rahe The Aap Us Din
Nigahon Se Kiya Katal Aapne Us Din
Ruk Gayi Sansee Bandh Hui Darkan
Na Kar Paye Hum Tarif Aapki Us Din
Palko par na jugnu sajay karo ankho
Palko Par Na Jugnu Sajay Karo
Ankho Mein Na Kajal Lagaya Karo
Main To Mar Jaaunga Teri Saadgi Par
Kajal Se Gaal Par Til Na Banaya Karo